Ek din usse na dekha dil uds ho gya,
kuch hi pal mey wo itna khaas ho gya,
ab tak to pata nahi tha mujhe
lekin uski judai se uski aahmiyat ka ehsaas ho gyaZindagi me kya kuch kasar baaki thi
Sunday, March 31, 2013
Romantic Shayari | Heart Touching Love Shayari | Hot Romance
LOVE ROMANCE IMPRESSIVE SHAYARI
Maine kaha k bahut pyaar aata hai tum par,
Wo muskura k bole or tumhe aata hi kya hai.
_______________________________________________
Main Jo chahon to Abhi tod Loon nata tum se,
Par main buz-dil Hoon mujhe maut se garr lagta hai ..
_______________________________________________
ye mujhe chain kyun anhi parta,
Ek hi shaks tha jahaan mai kya.
_______________________________________________
Main uska hoon, yeh tou main jaan geya hon lekin,
Woh kis ka hai, ye sawaal mujhe sone nahi deta
_______________________________________________
chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni,
warna hum zamaane bhar ko samjhane kahan jate
_______________________________________________
Woh karam ungliyon pay gintay hain,
Zulm ka jinkay kuch hisaab nahi..
_______________________________________________
hum dur tak yun hi nahi pahunche faraz,
kuch log kandha dene aa gye the....
_______________________________________________
apne siva batao kabhi kuchh mila bhi hai tumhein,
hazaar baar lee hain tumne mere dil ki talaashiyan..
_______________________________________________
meri bahaduri ke kisse mash'hoor the shehar mein,
tujhe kho jaane ke dar ne kayar bana diya..
_______________________________________________
zindagi mein is se badh kar ranj kya hoga FARAZ
uska ye kehna ki tu shayar hai deewaana nahi...
Woh mera sab kuch he bas mera mukaddar nahi,
Kash woh mera kuch bhi na hota sirf mukaddar hota..
_______________________________________________
Kuch aise haadse bhi zindagi me hote he dost,
Insaan bachh to jata he ,magar Zinda nahi rahta.
_______________________________________________
Kitni fikra he Kudrat ko meri tanhai ki,
Jagte rahte he raatbhar sitare mere liye.
___________________________________
Bewafa Shayari SMS
Itna khoobsurat chehara hai tumhara..
har dil diwana hai tumhara..
log kehate hai chand ka tukda ho tum..
lekin ham kehate hai chand tukda hai tumhara…
Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,
Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,
Jaane kya baat hai aap mein,
Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya…
Subscribe to:
Posts (Atom)